
Amrood Ke Fayde Aur Nuksan - Guava Benefits in Urdu/Hindi Amrood ka ped har kisam ki zameen par kashat hota hai aur phal deta hai. Yeh khat e sartan wajdi ke darmiani elakon mein kashat hota hai. G izaye lehaz se esey hayateen ka badshah aur sasta phal tasleem kea gya hai. Amrood ke beej mein loha khas miqdar mein hota hai. Amrood Ke Fawaid Aur Nuksan: Phosphorus aur chona wafer mikdar mein paya jata hai. Vitamin A bhi es mein mojod hai. Sardion aur Garmion dono mosmon mein ye phal deta hai. Es ki eksaam mein safaida cheni dar, hafas, karla, seedestha aur meeho mash'hor kismein hain. Amrood Ke Tebi Khawas aur Elaj: Hukma ne es ka mezaj gharm tar bataya hai. Baaz ke nazdeek es ka mizaj garam tar bhi hai aur mutdal bhi. Magar amrood ke mutdal hone par zayada itfaq hai. Amrood maqwi aur mafrah hai. dair hazam hai. Esey kacha khane se qabaz peda hoti hai. Amrood ka istemal khana khane ke bad zayada fayda-mand hai. Amrood kabaz-kusha hai. Dil aur maida ko takat p...