Amrood Ke Fayde Aur Nuksan - Guava Benefits in Urdu/Hindi
Amrood ka ped har kisam ki zameen par kashat hota hai aur phal deta hai. Yeh khat e sartan wajdi ke darmiani elakon mein kashat hota hai.
Gizaye lehaz se esey hayateen ka badshah aur sasta phal tasleem kea gya hai. Amrood ke beej mein loha khas miqdar mein hota hai.
Amrood Ke Fawaid Aur Nuksan:
Phosphorus aur chona wafer mikdar mein paya jata hai. Vitamin A bhi es mein mojod hai. Sardion aur Garmion dono mosmon mein ye phal deta hai.
Es ki eksaam mein safaida cheni dar, hafas, karla, seedestha aur meeho mash'hor kismein hain.
Amrood Ke Tebi Khawas aur Elaj:
Magar amrood ke mutdal hone par zayada itfaq hai. Amrood maqwi aur mafrah hai. dair hazam hai. Esey kacha khane se qabaz peda hoti hai.
Amrood ka istemal khana khane ke bad zayada fayda-mand hai. Amrood kabaz-kusha hai. Dil aur maida ko takat puhnchata hai.
Khorak hazam karta hai. Dil ki dharkan taiz ho to amrood khane se normal ho jati hai. Amrood khate waqt es ke beej aur sakhat hissa phaink dena chahye.
Kuenke yeh sakeel hota hai. Namk mirch laga kar khane se jald hazam hojata hai. Baz halaat mein amrood kabaz bhi karta hai. Wo es halat mein jab esey khali pait khaya jaye.
Ye khud hazam nahin par hazma durast karta hai. Haiz ki zaydati mein bhi mufeed hai. Bawaseer khoni ke marz ke lye behad mufeed hai.
Reah aur nafakh peda karta hai. Esey namk aur mirch lga kar khana mufeed hai.
Khansi aur nazla ke marz mein amrood khana behad mufeed hai. Tabkheer maidah khatam karta hai. Pait ke kere marta hai.
Nakseer ke mareez ke lye amrood behad faydamand hai. Khon patla ho to esey durast karta hai. Mosam barsat mein amrood zayda khane se maidah mein mada fasid aur kolinj peda karta hai.
Amrood ka shumar chand aham aur gizait dar phalon mein hota hai. Chunacheh jo log es raz se wakif hain. Es se bakadar shok mastfeed hote hain aur jinhain qudrat ne achi sehat se mala mal kea hai wo jee bhar kar khate hain.
Magar es ka matlab har giz yeh nahin keh admi es pha se roti wagaira ki tarah sair shikmi kare kuenke es sorat mein shadeed nafakh aur takhmah wagaira awariz ka khatra lahiq ho sakta hai.
Albatta sehat ke mutabik aur hasbe bardashat hazam esey khaya ja sakta hai. Amrood jisam ki farbhee aur tabiat ki farhat ke lye aik sasta magar fayda rasan phal hai aur esey dosre darja ki achi gizoun mein shumar kea ja sakta hai.
Baz nafeesul-taba aur shokeen mizaj log esey khasosi ahtamam ke sath bhi khate hain. Yani alowoun, kele, saib aur malte wagaira ke qatle kar ke en mein amrood shamil kar ke namak aur siah mirch wagaira chirak kar khate hain aur bila-shubah es tarah na sirf aik nehayt umdah aur zayqa parwar silad numa dish ban jati hai balke es ki lazat bakhshi aur afadiat mein bhi aik goona izafa ho jata hai.
Albattah es bat ka khayal rehna chahye keh zayda mikdar mein es ko khana nahin chahye kuenke es se maidah aur tabiat mein gerani peda hone ke qawi amkanaat hote hain.
Amrood agar taza hon aur ache pakke howe aur shereen hon to es ki takat bakhshi mein koi shakoshubah ki gunjaysh nahin.
Khasosiat se gareeb afrad ke lye to yeh aik achi khasi mufeed gizaye nemat hai. Amrood ka mutdal istemal dilo damag ko takat bakhshta hai. Payas ko door karta hai. Tabiat ko khushi ataa karta hai. Maidah ki taqwiat ka bays hai.
Ye bat yad rakheye keh amrood ko hamesha thora sa namak aur kali mirch ke sath khana chahye kuenke es tarah se es phal ki na sirf maidey mein gerani peda karne ki taseer kam ho jati hai balke es ki lazat mein bhi khatar khah izafa ho jata hai.
Aur es ka zayqa bhi dobala ho jata hai. Naiz yeh amar hamesha yad rakhna chahye keh amrood ko khana khane ke bad hargiz nahin khana chahye.
Kuenke aesi sorat mein es ka khana kabaz peda karne ka mojab hai. Esey hamesha khana wagaira khane se kuch waqt pehle khana chahye.
Amrood khate waqt jis had tak mumkin ho es ke beej nikal dene chahyn kuenke es ke beej bilkhasoos mote mote beej kesi bhi sorat mein hazam nahin hote.
0 comments:
Post a Comment